Friday, June 29, 2007

Junoon: Dil Nahin lag raha + Kyun Pareshan hai tu

Sufi music is,was and always be inspiring. It has the ability to shake up your soul. I have been listening to two of the songs by Junoon over and over again. A song can be true, sad, inspiring: all at the same time. All of such characteristics can be found in these two songs, the lyrics of which I posting.

Dil Nahin Lag Raha

Had se barne laga, Zulm ka silsila
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha

Us ne ehwaal poocha, To mein ne kaha
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha

Sheh'r mein to mere, Jitne bhi yaar hain
Sab giraftar hain, Sab giraftar hain

Kis ko ma'aloom ho, Kaun ho kab reha
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha

Mein bhi paaband hoon, Woh bhi paaband hai,
Raastein band hein, Raastein band hein,

Ab to mumkin nahin, He koi raabta,
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha

Had se barne laga, Zulm ka silsila
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha

Us ne ehwaal poocha, To mein ne kaha
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha


Kyon Pareshan Hai Tu


Kyun pareshan hai tu
Kyon pareshan hai tu

Kahi jahan aur bhi hein
Kitne haseen aur bhi hein, aur bhi hein
Kyon pareshan hai tu

Tere ishq mein shor machae
Man charkha ghomta jae
Pas bulaen, pas bulaen

Kyun pareshan hai tu
Kyon pareshan hai tu

Kahi jahan aur bhi hein
Kitne haseen aur bhi hein, aur bhi hein
Kyon pareshan hai tu

Koi tujh bin aanso bahae,aanso bahae
Kisi karwat so nahin pae
Pas bulaen, pas bulaen

Kyun pareshan hai tu
Kyon pareshan hai tu

Kahi jahan aur bhi hein
Kitne haseen aur bhi hein, aur bhi hein
Kyon pareshan hai tu

Tu hi apna log parae, log parae
Koi kab se aas lagae
Pas bulaen, pas bulaen

Kyun pareshan hai tu
Kyon pareshan hai tu

Kahi jahan aur bhi hein
Kitne haseen aur bhi hein, aur bhi hein
Kyon pareshan hai tu

No comments: